Saturday, 18 February 2017

Android Phone me Xposed Framework kaise install kare?

Hello Friends, MyTeachWorld blog me aapka swagat hai. Aaj ki iss post me , mai aapko btaunga ki kisi bhi Android Phone me Xposed Framework kaise install kare? Dosto aapne Xposed Framework ka name suna he hoga. agar aapko nhi malum hai Xposed Framework kya hota hai, to sabse pehle mai aapko bta du , xposed framework kya hota hai?


What is Xposed Framework?

Dosto, Xposed Framework ek type ka firmware hai, jiski madad se aap apne android phone ko fully customize kar sakte hai. kai bar aisa hota hai ki kuch android phone ke liye custom rom available nhi hote hai. Un Android phone me Xposed Framework ko install karke aap apne android phone ko modify kar sakte hai. Xposed Framework ki ek or khas bat ye hai, ki jaise man lijeye ki aapne apne android phone me koi custom rom install kiya hai, or usme koi problem aagyi , jaise ki aapke ke phone me  blutooth work nhi work kar raha hai, ya or koi problems aagyi to aapko fir se stock rom install karna padega. Lekin Xposed Framework me aisa kuch nhi hai, kyoki xposed framework me har chiz ke liye ek modules hote hai. jo bhi module me koi problem aarhi hai aap us module ko easily uninstall kar lijeye. Dosto ye rhi na khas bat. kyoki iss process me aapko custom rom change karne ki koi jarurat bhi nhi pdi.
  Dosto Xposed Framework ko aap bhi apne android phone me install karne chahte to iske liye mai aapko bta du , jo xposed framework hota hai ye Android Phone par nhi . balki Android Version par depand karta hai. Xposed Framework Android Phone ke Virson 4.o.3(kitkat) se lekar Android virson 6.0 (Marshmellow) tak work karta hai. 

MUST READ: Android Phone ko Root kaise kare?}
Important: Friends ye process start karne ke pehle aap apne android phone ko root kar lijeye. aur koi bhi custom recovey aapke android phone me install ho. aur aap apne android phone ke rom ka backup jarure le lijeye, jisse agar aapke phone me koi problem aarhi ho , to aap us backup ko restore kar sake.

 Requirements:

To dosto chaleye suru karte hai.

How to Install Xposed Framework on Android Phone

STEP1: Sabse pehle aapko apne android phone me Xposed Framework app ko download karna hai, Download ki link aapko requirements me di gayi hai. Aap apne android version ke mutabik xposed Framework ko download kar lijeye. or download karne ke bad open kijeye.
Ab aapse root permisson puchhega , aap grant par click kijeye.

xposed framework@myteachworld


STEP2: Ab aap ko apne android phone me Frameworke par click kijeye.

xposed framework@myteachworld.com

STEP3: Ab aap install/update par simply click kijeye.

Xposed framework@myteachworld

STEP4: Install/update pr click karne ke bad aap OK par click kijeye. Aapka android phone Reboot ho jayega. 

Xposed framework@myteachworld

Dosto aapke android phone me Xposed Framework install ho gya hai . 
Ab aapko xposed framework me modules ki jarurat padegi. Modules ko download karne ke liye. 
Open>Xposed Framework>Download par click kijeye or aapko jo modules achha lage aap install kar lijeye. 

Xposed framework@myteachworld

Agar aapko module download karne me koi problem aarhi hai, to aap uper dekh sakte hai.Ab aap apne Android Phone ko apne anusar modify kar sakte hai.
          Friends aapko ye post kaisi lagi hame comment me bataye. Ye post apne friends ke sath share kare. thank u 

No comments:

Post a Comment