Hello Frnds . Aaj hum bat krne wale hai Poision tap ke bare me . Poision tap kya hai?
Poision tap ka relationship Hacking se hai. ek Developer hai "Samy kamkar" jinhone ek aisa Hardware Device bnaya agar usko kisi bhi tarike se Computer se plugh kar diya jaye to wo uske chal rhe Internet Browser se uski cookis nikal sakta hai.
Dusri tarah ye bhi keh sakte hai ki us computer saved user name aur password nikal sakta hai, matlb wo aapke account ko hack kr sakta hai.
Jaise agar aap koi computer use kar rhe hai , or wo locked bhi to koi fark nhi padta hai. agar us computer me poision tap plugh kr diya jaye to aapke ke computer se Username , Password nikal sakta hai. Poision tap aap ke computer ko unlock bhi kar sakta hai.
Jisne ye hardware bnaya hai, usne pehle Apple ke DEvice par try kiya . Lekin uska kehna yeh hai ki ye kisi bhi Computer par kam kar sakta hai. Ye Hardware White Hat Hackers ke liye kafi usefull hai or black hat hacker ke liye usse bhi kahi jyada usefull hai. White Hat Hacker ke liye iss liye usefull hai , kyoki wo isse Security check kar sakte hai. Iski ek khas bat yeh hai ki Iss device se Two Step Verification bypass kiya ja sakta hai.
Ab swal ye aata hai ki kya Anti virus iss Device ko pakad sakta hai? Abhi tak to koi Anti Virus aisa nhi hai jo isko pakad paye. log kosis kar rhe hai isko rok sake , iski security me ja sake, kaise isko secure bnaya jaye, kaise logo ko roka jaye? to ye sari cheze aaj kal chal rhi hai .
I Hope aapka ye jo daught hai clear ho gya hoga .Mai aage bhi Teachnology se related topic lata rahunga. Agar aapko meri post achhi lgi to jyada se jyada share kare .
No comments:
Post a Comment