Sunday 27 November 2016

What is Virus , Worms and Trojan Horse in Hindi

Hello frends . Aaj ka mera topic hai Virus , Worms , Trojen Horse kya hote hai ? aur ye kis tarah Computer par work karte hain?




            Dosto hum sabse pehle bat karte hain Virus ki jaise ki pta hai human body jo hoti usme bhi virus failte hain. to virus nuksan pahuchate hai. issi tarah aapke computer me  virus kisi program ke sath lg aa sakta hai. aur ye jo virus hota hai ye khud se kabhi kam nhi karta . virus kisi software ke sath attch hokar aata hai , aur jab aap us software ko installed karte hai apne pc par to wo activ ho jata hai. jaise koi software apne internet ke help se download kiya , us software ko apne kahi par store kar diya , to us softwre me jo virus wo tb tak work nhi karenge jab tak aap us software ko apne pc par install nhi karte .isko human action ki jarurat hoti hai. ye to rhi bat virus ki .

            Frnds ab bat karte hai Worms ki , worms bhi kuch kuch virus ki tarah hote hai. worms me ek property hoti hai self replicate ki , self replicate matlb worms ek computer se dusre computer me apne aap ja sakte hai. usko human action ki jarurat nhi hoti hai. aise case me kya hota hai ? jaise koi worms hai wo ek computer se dusre computer me ja raha hai to ek he jayega bilku  nhi , worms replicate karta hai. matlb 1 se 2 , 3 ,4, 1000 bhi bna sakta hai. aise case me kya hoga? worms ek computer se jb dusre  computer me jayega , ho sakta hai wo 1000 ki matra me ho jaye , to wo computer ko slow kar sakta hai. agar wo kisi server par chala jaye to jyada bindwith use kare . aise computer me jo worms hote hai wo kam karna band kar dete hai. kyuki unke jo sare resources hai jaise Ram hai ya batttery hai ya jo bhi resources hai wo sab worms use karne lg jate me .  jaise aapke computer email hai , to sare email me chala jata hai . to ye worms ka nature hota hai. aapko mai virus ke bare me btaya , worms ke bare me btaya .

       Frnds ab mai bat karta hu Trojan Horse ke bare . Trojan Horse ek software ho sakta hai . jaise kai bar hota hai jb aap kisi website par jate hai. aap ko koi software download karna hai. to wo software nhi download hota , koi aur software download ho jata hai, ek aisa software jo aapko nhi chaheye , apne aap installed bhi ho jata hai . aisa bhi ho sakta ki wo apke computer me backdoor khol deta hai.  Backdoor kya karta hai?  Backdoor aapke computer ki important imformation ko share kar deta hai. Or Backdoor hota kya hai? aap ke computer me ek backdoor open hota hai. Samne se aapka firewall  , security kam kar rhi hoti lekin backdoor se koi bhi hacker apke data ko chura  sakta hai.

            Aapko in teeno se bachne ke liye ek paid version Anti virus ko use karna hoga jisse ye aapke computer me na aasake . to dosto aapko pta chal gya hoga ki Virus ,Worms , Trojan Horse kya hote hai. Agar aapko mera topic achha lga to jarur share kare or comment kare .
                                                                                  Thanks you

No comments:

Post a Comment