Hello , Dear Friends Your Wellcome , Friends Aaj Hum Bat Karenge Global IP , Local IP , Static IP aur Dynamic IP Ke Bare me .
To Dosto Chaleye Suru Karte Hai.
To Dosto Chaleye Suru Karte Hai.
- Local IP: Local IP kya Hoti Hai? Aur Internet ki IP kya Hoti Hai? Kai Log In dono Chizo me Bahut Confused ho jate Hai , Hmari Asli Ip Hai kya? Hum Kaise Btaye Ki Hamari IP Kya Hai? Kyuki Command Promt Par Jaker Agar Aap ipconfig Likhte hai To aapki ek IP aati Hai , Aur Agar Aap Google Par apni IP check Karte Hai. To kuch Aur Aati Hai. Akhir Hmari IP hai Kya? Agar Aapko Nhi Pta Hai IP kya Hota hai? IP ka matlab Hota Hai Internet Protocol . Jaise Agar Aap Mobile Phone Use Karte Hai,to Aap ka Ek Number Hota Hai , Jo Aapke Mobile Ki Pehchan Hoti Hai. Kyuki Ye Number Ek Particular Insan Ka Hai. Ek Country Me Ek Jaise Number Dusra Number Nhi Ho Sakta . Wo Ek Alag Pehchan Hoti Hai. Aise He Internet Par Jo Surf Karne Wala Insan hai , Internet Use Karne Wala Insan Hai Uski ek Alag Ip hoti Hai. IP kaisi Dikhti hai 112.168.1.99 Ye Char Part Me Hota Hai . Aur ye Ipv4 Hota Hai. Ye 3 -3 Digit Me 4 Part me Hota Hai. Ye Local Bhi hota Hai , Aur Internet Par bhi Hota Hai. Jaise Man lijeye Network Ki Bat Kar Lete Hai, Network Internet Par Bhi Hai, Network aapke Office Me Bhi Ho sakta Hai. Ab Ye Network Kya Hota Hai? Friends Ek Chiz se Kai Chiz Apas me Connected Hona Network Hai. To Man Lijeye Apke Ke Office Me Ek Modam Hai. Jisse Aap Internet Chalate Hai, Aur Us Modam Me Wifi Bhi Hai. To Jaruri To Nhi Ek Modam Se Ek HE Device Connected Ho. 4 Bhi Ho sakte Hai, 8 Bhi Connected Ho Sakte Hai. Too Aise Case Me Alag Alag Device Ki Koi Identy Honi Chaheye. To Aapka Modam Apke Office Me Ek Chota Sa Network Bna Raha Hai. Aur Us Network Me Jitne Bhi Device Hai. Un Sab Ki IP Alag Hogi , Aur Wo JO Ip hogi Wo Local IP hogi. Kyuki Wo Network Aapka Local Network Hai. To Uski IP Internet Nhi Provide Karega, Uski Ip Aapka Modam Provide Karega . To Dosto Ye Bat Rhi Local Ip ki Aap Ki Smajh Me AAgya Hoga.
- Global IP: Friends Ab Bat Karte Hai Global Ip ki , To Internet Par IP Ka Kya Case Hai? Ye Bhi Kuch Milta Julta Hai. Aapko Ko Pta Hai Internet Par bahut sare User Hai. To Har Ek User ki Alag Alag Identification To Honi He Chaheye, Taki Pta Chal Sake Kon Kon Hai. Issliye Yaha Par Jo Network Provider Hote Hain.Wo Aapko Ek Alag IP Address Asign Karte Hain. Kyuki Wo Aapki Internet Par Pehchan Hoti Hai. Ab Wo IP static Bhi Hoti Hai Aur Dyanamic Bhi Hoti Hai. Yahi Hamari Global IP Hai. I Hope Aapki Samajh Me Aagya Hoga.
- Dynamic IP: Dyanamic Matlab kya Hota Hai? Dyanamic Matlab Ye Kuch Interwell Par Change Hoti Hai. Jaise Man Lijeye Agar Aapki IP Aaj 5 Hai. Number Mai IP ka De Raha Hu. Ho Sakta Half Hour Me Aapki IP Change Hoker 6 Ho Jaye . Dyanamic IP Change Hoti Rehti Hai. Dyanamic IP ko Network Provider Change Karta Rehte Hai. Ab Aap Ye Puchhenge Ki IP hmari Change Hoti Rehti Hai To Hmari Pehcahn Change Hoti Rehti Hai. Bilkul Nhi Kyuki Network Provider Ke Pas Pura DataBase Hai. Jaise Man Lijeye 6 Tarikh ko Aapne Koi Illegal Activity Kar di , Koi Frod Kar Diya . Aur Aapki Ip Trace Hone Lagi , Jab Aap ne Illegal Activity Kiya Tha Tab Aapki Ip 666 Aise Karke thi , Ab Aapki IP 888 Aise Hai. To Aap Bach Jayenge Bilkul Nhi. Kyuki Aapka Jo Network Provider Hai Wo Ye Dekhega Ki , Ye IP Itni Tarikh ko Itne Baje Kis Ko Asign Ki thi. To Waha Aap Ka Name Aayega , Ab Wo Police Ko Aapka Record De Degi Aur Aaap Pakde Jayenge. Dyanamic IP ka Ye Matlb Nhi Hai ki Aap Bach Jayenge. Ye To Bat Rahi Dynamic Ip ki .
- Static IP: Friends Ab Bat Karte Hai Static IP ki Ye Kyu Use Hoti Hai, Friendds Kai Bar Aisa Hota Hai ki Aap Multiplayer Game Khelte Hai, To Usme Aapko Apni Ip Dalni Hoti Hai. Kyuki Wo IP aapki Pehchan Hai . Tbhi To Wo Network Se Connect Honge Alag Alag . Jaise Ek Game Me 5 User Khel Rahe Hai Alag Alag To Unki Pehchan Unki IP Se Hogi . To Aap Ne Apni IP Dal di Aap Game Khel Rahe Hain. Lekin Problem Ye Hai ki Aapki Ip Sayad Adhe Ghante Me Change Ho Jaye. To Aap Game Khelte Khelte Bich Me Ruk Jayega . Har 30 Minute Me Badal Rhi Hai To Kya Har 30 minute Me Apni Ip Dalte Rahenge Aap. To Game Kab Khelenge. Iss Case Me Aapko Statics IP Ki Jarurat Padegi. Static IP jo Hoti hai Wo Asthai Hoti Hai, Iske Liye Aapko jyada Paise Dene Padte Hai. Yhi Static Ip hoti Hai.
No comments:
Post a Comment