Thursday, 12 January 2017

Android Phone me Custom Rom kaise Install/Flash kare?

Hello  Dosto , Aaj ke iss post me aap janenge ki Kisi bhi Android Phone me Custom Rom kaise Install(Flash) karte hai. Dosto Maine aapko pichli post me btaya tha ki Android Phone me Custom Recovery kaise Install kare. Custom recovery ke Bina Aap Apne Android Phone Custom Rom Install nhi kar payenge. Dosto Aap ke man me ye bat aarhi hogi aakhir ye Custom Rom hai kya? 


install custom rom@myteachworld


What Is Custom Rom : 

Friends Custom Rom Google Dwara Provide ki gayi wah Rom hai. Jisko Developer Apne Anusar Modify karta hai. Friends Man Lijeye Apne koi ek Android Phone kharida. Aap ka Android Phone 2 year Purana ho gya . Aur Apke Android phone ka update version bhi nhi aaya hai. To Aap kya karenge? ji ha tab aap Apne Android Phone ke update ke liye Custom Rom use karenge. Custom Rom ki Help se Aap Apne Android Phone ko advance bna sakte hai. Friends Custom Rom me Problem ye hoti hai. kabhi kabhi aisa hota hai , Custom Rom ki coding me kuch mistake hone se apke Android Phone me , Blutooth,Data etc work nhi karte hai.


Friends Agar Aapne mera pichla post miss kar diya hai, Jisme maine Android Phone Me Recovery or Roms ke bare me btaya tha. aapko use jarur padhna chaheye. Aap uper di hui link par click karke padh sakte hai. 

Important: Friends Ye Process start karne ke pehle Aap apne Android Phone me Custom Recovery install kar lijiye . Ek bat aur agar aap warrenty wale phone me Custom Rom intall kar rhe hai, To aapke phone ki warrenty khatam ho jayegi. Mai aapko advice yhi dunga ki aap bina wrrenty wale phone me he custom Rom install kare.

 Requirements:

Friends Aapko apne android phone me Custom rom install karne ke pehle aap ke pas apne Android phone ke liye ek suitable Custom Rom honi chahye . Custom Rom Downlload karne ke liye Aapko maine Requirements me XDA- Developers ki link di aap waha se Apne Phone ke liye Custom Rom Download kar lijeye. XDA Developers Custom Rom, Recovery ke liye best website hai. Custom Rom Download karne ke bad . Aapko Google Apps ko download karna hai. Google Apps ki bhi link maine requirement me de diya hai. Aap waha se Apne Android phone ke liye Gapps download kar lijeye. Agar aapko koi problem aarhi hai , Custom rom download karne me , to aap Google par Search kariye " Apne Android Phone ka model number CustomRom" . Agar fir bhi Aapko koi Problem aarhi hai, to aap Apne Android Phone ka model num Comment kijeye. Apne jo Custom Rom Download kiya hai ,Wo ek Zip file hogi.Us zip file ko aap Apne Android phone ke sdcard me copy kar lijeye.
Aur ek sabse Imortant bat ye hai. ki Aap Custom Rom Install karne ke Pehle apne Android Phone ke Stock Rom ka backup jarure le . kyuki Custom Rom Install karne ke bad aapke phone koi bhi Problem aati hai , to aapne jo Stock Rom ka Back liya hai, use fir se Restore kar sakte hai.
To Friends chaleye suru karte hai.

Install Custom Rom using TWRP Recovery on your Android Phone:

Step1: Sabse pehle aap apne Android phone ko Power Off kar lijeye. Jab aapko Phone Swich off ho jaye , Tab Aap Apne Android Phone me "Volume Up key + Power key"
Dono key ko 10-15 Second to press karke hold rakhna hai. Ab Aapko TWRP Recovery Mode Open ho jayega.

Step2: Ab Aapko TWRP Recovery me ek option Wipe Ka show hoga , Aap Wipe par click kar lijeye. Or nichhe se simply swipe kar dijeye. Aapka phone Formet ho gya hai.

Step3: Ab Aapko  TWRP Recovery ke Home menu par jana hai.  Waha Par aapko Install ka option show hoga . Aap Install par click kar lijeye. Or Niche se simply swipe kar dijeye. ab aap Apne Sdcard ki Location me custom rom ki Zip file ko select kar lijeye. file select karne ke bad aap nichhe se simply swipe kar dijeye. 

Step4:  Ab Aapke Android phone me Custom Rom ki Installing Process suru jo jayegi. Ab aap wait kijeye jab tak Custom Rom installing ki process khatam nhi ho jati. Iss Proocess me kuch time bhi lag sakta hai .

Step5:  Ab Aapke android phone me custom rom install ho gya hai. Ab aapko ek option show ho raha hoga Wipe Cache/Dalvik , Aap Wipe Cache/Dalvik par click kijeye. or niche se simply swipe kijeye. Jab aapke phone ka Cache Wipe ho jaye to aap Home Menu par jaye.

Step6:  Ab Aapko Apne Android phone Google Apps bhi Install karna padega. To Friends Wahi same process hai. TWRP recovery me Install par click kijeye. Ab Aap Apne Sdcard me jaha Gapps ki Zip file ko rakha hai. Us ko click kijeye , or niche se simply swipe kijeye. Google Apps Installing ki process suru ho jayegi.

Step7: Google apps install hone ke bad aap Back jacker Reboot par click kijeye. Aapke Android Phone ki rebooting start ho jayegi. aapke phone ko on hone me Kuch time bhi lg sakta hai. Iss liye aap Paresan na ho.

Congratulation Dosto, Aapke Android Phone Custom Rom Successfully Install ho gayi hai.
To Aap Iss tarah apne Android Phone me Custom Rom Install kar sakte hai.


No comments:

Post a Comment