Friday, 27 January 2017

Android Smart Phone me Software Kaise Dale (Flashing)?

Hello Dosto, MyTeachWorld blog aapka hardik swagat karta hai. Friends aaj ki iss post me aap janenge ki Android Device me Software kaise dalte hai. Issi ko dusre word me flashing bhi bolte hai. Aap apne Android Phone me easily Software dal sakte hai. ji haa Aapko Mobile ki shop par jane ki koi jarurat nhi hai. Lekin dhyan rahe aapko iss post ko last tak carefully padhna hai. Dosto maine pichhli post me btaya tha ki Flashing kya hoti hai ? Chalo mai fir se aapko yad dila deta hu.

Flashing@myteachworld.com

What is Flashing?

Jab kabhi Aapke Android Phone me Software se related koi bhi problem aati hai. jaise ki Aapka Android Phone Auto On Of hota hai. Aapke Android Phone ki speed kam ho gayi ho. ya Aapke Android Phone ki Screen White ho gayi hai. To in sabhi Problem ka Solution Flashing hoti hai. Flashing wo process hai , jisme pehle wale software ko replace kar deti hai. Jisse aapka Android Phone fir se Properly work karne lagta hai. 


Agar aapko flashing ke bare me or janna hai . to aap upper di hui link par click kare padh sakte hai.
To Friends chaleye suru karte hai.

Requirements:

  • Android Phone
  • Stock Rom Firmware File
  • Computer
  • SP Flash Tool
  • Android USB Driver
Dear Friends Aapko Android Phone me Flashing karne se pehle Aapke pas apne android phone ki Stock Rom FirmWare file honi chaheye. Aapko Apne phone ki stock rom file Download karne ke liye , Aapko google par search karna "Apne Android Phone ka name, Model Number ke Sath Stock Rom Firmware Download " Likhna hoga. 
Jaise ki- Micromax Unite 2 A106 Stock Rom Firmware Download
Ab aapko flashing ke liye SP Flash Tool ki jarurat hai. To SP Flash Tool aur Android USB Driver maximum Sabhi Stock Rom Firmware ki File me hota agar aapko SP Flash Tool or USB driver nhi mila hai , to Aap google par search karke Download kar lijeye. Uske Android USB Driver ko Apne computer par Install kar lijeye.
To friend chaleye suru karte hai.

How to flash Android Device

Dosto mai ab ye man kar chal raha hu ki aap  apne Android Phone ki Stock Rom file Download kar li hogi.

STEP1: Sabse pehle Aapne jo Stock Rom FirmWare file download ki thi wo ek Zip file me the , Aapko  Zip file ko extract kar lijeye. Zip file ko Extract karne ke liye aap WinRAr ka use kar sakta hai. 

STEP2: Ab aapne jaha par Zip file ko extract kiya tha , use open kar lijeye. Waha par aapko USB driver show hoga . Use aap simply Install kar lijeye. USB driver install hone ke bad . Aapko Usi folder me jana hai, or usme se SP Flash Tool ko simply click kar lijeye.

STEP3: Ab Aapke Computer me SP Flash Tool open ho gya hoga. waha par aapko Scatter File par click kijeye. Ab ek new window open hui hogi. Aapne jo Stock Rom file Download ki thi usi me Ek Firmware Name ka folder hai. jab aap Firmware par jab click karenge to ek Scatter File aapko dikhai degi us Scatter file ka location dejiye. Ab aapke SP Flash Tool me Scatter File Download ho gayi hai. 

STEP4: Ab Aapko SP Flash Tool me Uper ki taraf ek window dikai de rhi hogi jisme aapko DOWNLOAD ONLY select karna hai. or Download par simply click kar lijeye.

STEP5: Ab Aap Apne Android Phone ki battery nikal lijeye. or Data Cable ke jariye Apne Android phone ko computer se connet kar lijeye. Aapki computer ki screen par ek sms milega New Hardware Device Found. Or flashing Start ho jayegi. flashing me 10 se 15 lag sakte hai. 
       
          Congratulation , Aapke Android Smart Phone me flashing successfull ho gayi hai. 
Aapko Flashing ki proccess me koi problem aarhi hai , to aap comment jarur kariye. jisse hum aapki help kar sake . Agar aapko meri post pasand aayi to jarur share kariye. 
Thank you , Good Bye




No comments:

Post a Comment