Sunday 8 January 2017

Computer me Operating System kya hai. Windows VS Linux kon hai best?

Hello, Dear Friends MyTeachWorld blog me Aapka SWagat hai. Aaj Mai Aap logo ko btaunga ki "Window VS Linux" me kon sa Operating System Best Hai.

Window VS Linux @myteachworld


    To Friends Chaleye suru karte Hai. Sabse pehle mai bat karta hu Operating System ki .

  Operating System Kya Hota Hai?


           Operating System Aise Program ka collection hota hai, Jo computer system ki sabhi Activity ko Manage karta hai. Opreating system Computer Se jude Different type ke Hardware ko Manage karta hai. Ye ek prakar se Computer aur User ke bich ek tarah ka Bridge ka Kam karta hai. Different Software Ke Collection ko Operating System Kehte Hai.
Operating System ke bhi 2 type hote hai.
  • Single User O/S : Iss Type Operating System me Ek Samay me Keval  ek he User Work kar sakta hai.   Example – MSDOS,Unix 
  • Multi User O/S: Friends Iss Type Ke Opreating System me Ek Samay Me Ek se Jyada Users Ek Se Jyada Work Kar Sakte hai.  Example- Window NT, Window XP,Linux

     To Friends Aapke Samajh Me Aagya hoga ki Operating System Kya hota hai.
Dear Readers Ab Mai Bat Karta Hu Window VS Linux me Kon Best Hai.

                 Windows VS Linux

      Windows:  Friends Window ek  GUI(Graphical User Interface) based Operatin System hai. Window ko normly user Easily use kar sakta hai. Jo Normal user hai , unke liye Windows best hai. Window Paid version OS hai. Window ko use karne wale Log Linux se Jyada hai. Jo Gamers log hote  Hai Wo bhi windows Operting System use karte hai. Jitna Bhi Officely Work hai , wo sara Windows Os Par use hota hai.

Features Of Window Operating System:

  • Windows Ek GUI based Operating System hai.
  • Windows ke Sources Code Linux ki tarah Internet par Avilabale nhi hai.
  • Windows ko MS-DOS ki tarah HardDisk Par Install Karke Use Kiya Ja Sakta Hai.
  • Windows Ek Single User Operating System hai.
  • Windows par work karne ke liye jyada knowledge ki jaruat nhi hoti hai.

Linux:  Friends Linux Operating System Aise logo ke liye bna hai , Jo Technology me hai, Jo nayi nayi Research karte hai, Jo Internet ki Security Check karte hai. Ek Aur bat ye hai jo Hacker hote hai , Wo bhi Linux Operating System Ka He use karte hai. Linux Operating System ko use karna easy nhi hai. Iss Linux Operating System Bahut kam use hota hai. Linux Ke liye drivers kam hai . or Hardware Support bhi kam hai. 
Ab Aap ko bta de ki kon sa Operating System Secure hai. Friends Operating System Wahi Secure ho sakta hai jisme virus kam ho.

Features Of Linux Operating:
  • Linux GUI aur CUI dono base par work karta hai.
  • Linux ke Sources code Internet par free me avilable hai.
  • Linux ko Hard Disk par bina Install kiye huwe CD se chalaya ja sakta hai.
  • Linux me Programming karne ke liye Different type ke shell use kiye jate hai.
  • Linux ek Multi User aur Multi Tasking Operating system hai.
Final Word: Dear Reader , Operating system Chahe Windows ho ya Linux , Dono he Operating system Acche hai.Bs ye depend karta hai, ki Aap usko kis tarike se Istmal Karna Chahte hai. Har kisi insan ke liye Alag  Alag Operating System best ho sakta hai.

No comments:

Post a Comment