Monday 9 January 2017

Pattern Lock ko Unlock kaise kare Android Phone me?

Hello , Dosto Aaj ke iss post me Aapko btaunga ki Kisi bhi Android Phone ka Pattern Lock, Pin Lock ko kaise break karte hai. Dosto Aaj Kal Android Smart Phone use karne wale log bahut hai, aur Aaj kal Android Phone me Pattern Lock, Pin Lock, ko use karne ka  Passion ho gya hai.
Dosto aap log bhi apne Android Phone me Pattern jarure Use karte honge. Aap ke sath kai bar Aisa huwa hoga , Aap Apne Android Phone me Pattern Lock ko bhul jate hai , or kai bar try karne ke bad aapko phone Lock ho jata hai. To aap Apne Android Phone ko Service center le jayenge. Friends Ab aap ko Apne Android phone ko Service Center le jane ki koi jarurat nhi hai, Ji ha Aap Apne Android phone ke pattern lock khud he Unlock kar sakte hai. Iske liye Aapko Iss Post ko Last tak padhna hoga.


Unlock Pattern @myteachworld


To Dosto chaleye suru karte hai.


Note:- Aapko mai jo Method btane ja raha hu. Iss Method me Aapke Android Phone ko Reset Karna hoga . jisse Aapke Android Phone Ka Sara Delete Ho jayega. Aur Aapke SdCard ka Data bilkul safe rahega.     

Samsung Android Phone Ke Pattern Lock ko Kaise Unlock Kare:

Step1: Sabse pehle Aapko Apne Samsung Android Phone ko switch Off karna hai.

Step2: Jab Aapko Phone Fully Shutdown ho jaye tab Aapko , Apne Phone Ke "Recovery Mode" me jana hai. Apne Samsung Android Phone ke Recovery Mode me jane ke liye "Volume Up Key + Home Key + Power key "  Teeno Button ko Ek sath 10 se 15 second tak press karke hold rakhna  hai. 

Step3: Ab Aapke Samsung Android Phone ke Recovery Mode ki Screen khul jayegi. Aapko Usme bahut sare option dikhai denge. Aapko un option ko use karne ke liye "Volume Up Button"(Uper jane ke liye)  "Volume Down Button" (Niche Jane ke liye ) aur Okay ke liye aapko "Power Button" ko Press karna hai.

Step4: Ab Aapko apne Android Phone ki Screen par "Wipe Data/ FactoryRest" option show hoga iss par aapko Okay press karna  .

Step5: Ab Aapko wahi par ek Reboot ka option milega . Aapko Simply  ok (Power Button) press karna hai. Ab Aapke Phone ki Rebooting start ho jayegi . Iss process me kuch time bhi lg sakta hai . 
      Aapke Samsung Android Phone ka Pattern Lock Successfully Unlock ho gya hai.

Other Android Smart Phone Ke Pattern Lock ko Kaise Unlock Kare:

Step1:  Sabse pehle Aapko Apne Android Phone Ko Shut Down karna hai . Uper ki tarah same process hai.

Step2: AAb aapko apne Android Phone ke Recovery Mode me jana hai. Recovery Mode me jane ke liye Aapko "Volume Up Key + Volume Down Key + Power Key" Teeno Ek sath press karna hai 10-15 second tak .

Step3: Aapke Android Phone ki Recovery Mode open hoga . waha par Option show hoga Wipe Data / Factory Reset par ok karna hai. Aapko upper se same process follow karna hai. 

Step4:  Ab Aapko Simply Reboot par click karna hai. Reboot process me kuch time lg sakta hai. Aapke Android Phone ka pattern Successfully Unlock ho gya hai. 


No comments:

Post a Comment