Saturday 6 May 2017

Pendrive ko Virus Attack se kaise bachaye?

Hello Dosto, Myteachworld blog me aapka swagat hai. Friends aaj ki iss post me aap janenge ki pendrive ko virus attack se kaise bchaya jaye? aur sabse khas bat ye hai ki pendrive iss trick se aap apne pendrive ke data ko bhi secure kar sakte hai. Example ke liye jaise man lijeye aapne koi project bnaya, or uss project ko aapko apne office me dena hai. to jahir si bat hai aap pendrive ka use karenge . To dosto kai bar aisa hota hai ki uss pendrive me koi na koi virus aajata hai , jisse aapka project kharab ho jata hai. 
Dosto iss trick ka use karke  aap apne important data ko bhi protect kar sakte hai. Jaise man lijeye aapko koi data apne friend ko dena hai or aap chahte hai ki uss data ko koi pendrive se delete na kar paye. or na he pendrive ko koi format kare. to aap iss trick ka use kar sakte hai. Dosto Iss trick ki sabse achhi khas bat ye hai ki iss trick ko use karne ke liye koi bhi third party application ki jarurat nhi padti hai. Aap last tak iss post ko padhte rahiye , or aap bahut he aasani se apne pendrive ke data ko protect rakh sakte hai.
To dosto start karte hai-


pendrive@myteachworld.com


How to secure pendrive virus attack?

Sabse pehle aap pendrive ko pc ya laptop me lga dejiye, or usme important data ko rakh lijeye.

STEP1: Dosto aapko apne pc ya laptop par Command Prompt open karna hai. Dosto Command Prompt open karne ke liye aap WINDOW+R key press kijeye. ek window aapke samne aayegi . usme aapko type cmd type kijeye.or enter key press kijeye. Aapke pc ya laptop ka Command Prompt open ho jayega.

STEP2: Ab aapko Command Prompt par diskpart type kar lijeye. jisse diskpart open ho jayega. Aap niche diye huwe screenshot ko dekh lijeye.
Aapko iss bat ka dhyan dena hai ki "diskpart" ke bich koi space nhi hai.
step1@myteachworld.com


STEP3: Aapko ab command prompt par list disk  type kar lijeye, or enter key press kijeye.
jisse aapke pc ya laptop par jo bhi storage device connected hai wo show ho jayengi. ab aapko apni pendrive ki location dekhni hai. Dosto niche screenshot me mere laptop par Disk1 pendrive ki location hai. iss tarah aap bhi check kar lijeye .
"list disk" ke bich me space hai.

                                 step2@myteachworld.com

STEP4: Ab aapko apni pendrive ko select karna hai, iske liye aapko command prompt par select disk 1  type kijeye. aapke case me ye disk 2 bhi ho sakti hai.  Aap screen shot jarur dekhe. 
Jaisa ki aap dekh rahe hai Disk 1 select ho chuki hai. or "select disk 1 " ke bich space hai.
step3@myteachworld.com


STEP5:  Ab  aapko command prompt par attributes disk set readonly  type kijeye or enter ki press kijeye. ab aap dekhenge ki aapki pendrive par attributes success ho gya hai. means aapka kam ho gya.
Friends ab aap apne pc ya laptop se pendrive ko nikal kar dobara lgaye. pendrive me kisi bhi folder ko delete kijeye. aap dekhenge ki folder delete nhi huwa hoga. iss pendrive me ab kuch bhi write nhi kar sakte hai. 
step4@myteachworld.com



 Pendrive ko pehle jaisi kaise bnaye?

Aap yhi soch rahe honge ki maine ye sb to kar liya lekin pendrive ko pehle jaise kaise bnaye. to dosto aap paresan mat ho mai wo bhi process aapko bta deta hu . 

STEP1: Dosto aap same wahi work dobara karna hai, jo aap karte chale aarhe hai. sabse pehle aap command prompt ko open kar lijeye. 

STEP2: Ab aapko fir se diskpart type kijeye, or enter key press kare.

STEP3: agar aapko pta hai ki pendrive ki disk kon si hai. to aap sidhe command dijeye. agar nhi malum hai to fir list disk ki command dijeye or enter key press kijeye.

STEP4: ab aapko apne pendrive ki disk ko select karna hai. same wahi process hai jo aapne pehle upper kiya tha. mai ummid karta hu aapne pendrive ko select kar liya hoga. 

STEP5: Dosto disk select karne ke bad ab aapko command prompt par attributes disk clear readonly type kijeye, or enter key press kijeye. 

 Dosto iss process ko dhayn se padhe , kyoki yahi step main hai. aap niche diye huwe screenshot ko jarur dekhe.
step@myteachworld.com


Ab aap dekhenge ki  jo aapne command lgayi thi wo successful work kar chuki hai. Iska matlb aapki pendrive pehle jaisi ho gayi hai. Aap pendrive ko apne pc ya laptop se nikal kar dobara lgaye. or kisi bhi file ya folder ko delete kare ya edit kare , aap dekhenge ki file delete ho ja rhi hai.

final@myteachworld.com


                   Dosto agar aapko meri psot achhi lgi to share karna na bhuleye. mai issi tarah ki post lata rahunga, thank u and good bay.

No comments:

Post a Comment