Sunday 18 September 2016

3G phone me 4G sim (LTE) kaise chalaye?

Hello friends. Aaj mai aap ko batunga ki kisi bhi Android Phone me 4g(LTE) sim kaise chalye .  Friends Aap sab jante hai ki aaj kal 4G bahut chal raha hai. Jaise ki LYF phone company LYF phone ke sath Relince Gio 4g sim de rhi hai . Aaj ka mera topic un logo ke like ye hai jinke pas 3g phone hai . Or Wo Apne phone me Relince gio 4g chalana chahte hai. Relince jio 4g sim keavl LTE me support karti hai .  Jaise ki aapka phone 3G support hai to sidhi si bat hai ki aapka bhi phone GSM/WCDM support hoga . Dusri tarah se yeh bhi keh sakte hai . Aapka bhi phone 2G/3G support karta hai. To chalte hai process ki tarah.


                   

Type 1:-    Mediatek Processor ke liye

        Friends ye process Start karne ke pehle aap cheack karle ki aapka phone MediaTek Device hai. Aur aapke phone me Android version 4.4 means Kitkat to hona he chaheye . Agar aapke ka  Android version isse kam hai to aap iss process ko use na kare. Ye method tab kam karega jab aap acche se iss post ko padhe or fir sare step follow kare. Mai Aapko ek trick bta raha jisse se ye pta chal jayega ki aapka phone kis chipset par kam kar raha hai.

Apne Phone me kaise check kare ki aapke phone Mediatek hai ya Qualcomn  Processor ?

Step1   Sabse Pehle Aapko CPU Z App Download karna hoga . Ye app playstore par mil jayega 
   
                     Download CPU Z

Aap iss aap ko uper link par click karke download kar sakte hai.

Step2: App ko Install Karne bad Open kare.

Step3:Apps ko open karne ke bad aapko kuch second ke liye intzar karna hoga jab tak wo apps aapke phone ki sari information nhi deta.
           


                                            Aap ko apne phone me kuch iss tarah show hoga.

Step4: Agar aapko device MediaTek Device hai to apke phone par media tek ka logo show hoga.

Step5Aapko Sabse pehle apne 3G Phone me  MTK Engineering Mode App ko Download karke Install Karna hai.

                                          Download MTK Engineering Mode App

     Aap iss Apps ko uper link par click karke download kar sakte hai.


                                          

Step6:-Aap jab apne phone me iss app ko open karenge to uper jis tarah screen dikh rhi hai usi tarah aapke phone me show hogi . Ab aapko Android Setting par click karna hai.


                                         

    Step7:-   Ab aapko Phone Information ka options show hoga . Aapko Phone Information par click karna hai.


                                            

Step7:- Android Information Par click karne ke bad aap swip karke niche aayenge Waha Aapko GSM milega . Aap image me dekh sakte jo Red Circle me hai. Aap GSM par click kariye.


                                        

Step8:-  Ab aapko kuch options show honge aapko LTE/GSM/CDMA par click kar ligeye.

Step9:- Ab Aap Apne phone ko switch off kar ligeye. Aap 4G Sim ko apne phone ke sim 1 slot me dale , or sim 2 slot me koi sim na dale.

Step10:-  Ab Aap apne Phone ka switch on kar ligeye. Ab Aapka Relince jio 4G sim  chal gya hai.

        Agar aapke phone me network nhi aaraha to aap 10 minute wait kigeye. Jio network aapke phone me aajyega . Aapka 4 Sim chal jayega lekin aapko 3g ki he speed milegi.



Type 2:     Qualcomn Processor ke liye
    
         Friends . Ye method un logo ke liye hai . Jinke pas Qualcomn Processor ke device hai. Or jinka Android Version 4.4(kitkat)  se kam hai .

Step1:  Sabse pehle aap apne phone Shortcut Master App Ko Download karke Install kar ligeye.

                                                  Download Shortcut Master App

    Aap uper link par click karke download kar sakte hai.

Step2: ab aap us app ko open karle.

Step3: App ko open karne ke bad . Apko apne phone me Menu par click karna hai. Menu me aap "Service Menu" ya "Engineering Mode" search kar ligeye.

Step4:  Ab aap "System App" options ko select kar ligeye. Waha par aapko LTE Band change karna hai. Agar ye process work nhi kar rhi hai . To aap  Engineering Mode open kare or usme LTE band select kar ligeye.

Step5: Agar ye bhi process aapke phone par work nhi kar rhi hai . To aap  "*#2263#" iss code apne phone par type kare . uske bad menu pr select kare . Fir back pr click kare.

Step6: ab aap jab back par click karenge to usi me ek options hoga key input . Aap key input pr jaye or waha "0000" enter kare . Kuch samay bad aapko ek pop up sms aayega .

Step7Pop up sms me aap UE setting par click kigeye . Uske bad pop up sms fir se aayega usme aap Setting Pr select kare
Fir Protocol>NAS>Network Control>Band Selection>LTE Band isme aapko " Band 40" select karna hai.
Ab aap apne phone switch off kar ligeye . Uske bad Sim 1 slot me jio sim dale . Sim 2 slot empty rakhe.

Step8: Ab aap apna 3g phone ka switch on kar ligeye. Ab kuch time me aapko jio sim ka network mil jayega.

No comments:

Post a Comment