Thursday 15 September 2016

Kisi bhi Application ko Android System Apps kaise bnaye?

            Hello Friends. Aaj mai iss post me aap ko btunga Android phone me kisi bhi apps ko System apps kaise bnaye. to aap sabse pehle yeh jan le ki apps ko system apps kyu bnaya jata hai?

Friends aap jante hai ki Android Phone Ek Linux Based Operating System hai. Iss operating System me sab kuch possible hai. kyoki Linux ek open source Operating system hai . jisme Aap apne tarah se customize kar sakte hai. Android Phone me kisi bhi Application ko system app bnate hai . usme aapka fayda ye hai ki jo aapke phone me kuch aise apps hote hai jo update nhi hote hai. Agar man lo wo update bhi hogye . To us app me pehle se bhi kuch data hota hai. jo delete nhi hota . jisse aapke phone ka space kam ho jata hai or aapka phone slow ho jata hai.


                                         


                Dusri tarah se ye bhi keh sakte hai ki aapke phone me jo pehle se application hai . wo to aapke phone me rehte he hai. lekin aap jb uss applicattion ko update karte hai to usme application me or data add ho jata hai. Jissse aapke phone ka space kam ho jata hai.

Jaise apke phone koi apps hai . us apps ka size 2 MB hai. Ab aap us apps ko update karte hai . To wah apps 5 MB ka ho jata hai. Jisse apke phone ki 3 MB ki space kam ho jati hai.
System App bnane ke liye appko kya - kya chaheye?

Ek Rooted Android Phone hona chaheye.Lucky Patcher Apps ko aap download karle.      Download

Step1:  Aapko Sabse Pehle Apne android phone se Lucky Patcher App ko Download karna hoga . Maine uper Download ki link de hai . Aap waha se Iss app ko Download kar sakte hai.

App ko download karne ke bad aap isse apne Android Phone me Install kar le. Ab Aap Lucky Patcher App ko open kare. 


                                                       


Step2:  Aap jab Lucky Patcher app ko open karenge . Tb ek massage show hoga jisme aapse  ROOT Permision mangi jayegi. Aapko Grant par click kar dena hai . Ab us App ko root permision mil gayi hai.

              Agar aapka phone ROOTED nhi hai to aap sbse pehle apne phone ko root karle . Agar aapko root karna nhi malum hai to aap nichhe di gayi link se padh sakte hai.

                                         Android Phone ko ROOT kaise kare ?


                                                       

Step3:  Lucky Patcher application ko open karne ke bad Rebuild & Install par  click karna hai.


                                                     


Step4: Rebuild&Install par click karne ke bad ab aapko 5 folder show kar rhe honge. jisme pehla folder System file ka hai . Andrid phone system file issi folder me store hoti hai. 2 folder legalcy ka hai . 3 folder  apke phone ki internal memory ka hai. yahi folder andrid phone ka inernal storage hai . 4 folder show kar raha hai . ye aaapke android phone ki External Memory ka hai, yehi folder aapka sd card hai .

                                                     

Step5: Ab aapko jis kisi bhi app ko system app bnana hai us app ki apk file honi cheheye . aapka android phone apk file ko support karta hai. jaise ki aap uper dekh sakte hai. ki mere pas com.android iss type ki ek file hai. yeh apk file hai. aap ko jo bhi apps ko bnana hai uski apk file ko select kar ligeye.

                                                    

Step6: File ko select karne ke bad ab aap Install As a System App par click kigeye.


                                                   

Step7: Ab aapko ek massage pop up ho raha hoga . waha par aapko Yes par click karna hai. 


                                                     

Step8: Ab aapko show kar raha hai  please wait yani ki aapka application system app ban raha hai iss liye aapko wait karne ke liye keh raha hai . jab tak ye process chal rhi tab tak aapko apne phone par kuch nhi karna hai.

                                                      


Step9: Jab aapka application system app bn jayega to please wait ki process khatam ho jategi .

uske bad apke ke phone ke screen par ek massage show hoga ki aapka phone reboot hone ke liye keh raha hai . Ab aap Yes pr click kare aapka phone restart ho jayega . Ab aap phone on hone tak intjar kare .  Ab aap dekh sakte jo application aapne system app ke liye bnayi hai . wo app ab system app ban chuka hai.


No comments:

Post a Comment