Tuesday, 6 September 2016

What is BootLoader , Kernal in Android Phone?

Hello Friends . Aaj Mai Iss Post Me Btaunga Ki Android Phone Me Boot Loader,Kernal Kya Hote Hai? Agar Aap Apne Phone Ko Root Karna Chahte Hai To Aap Ke Liye Janna Jaruri Hai .To Chaleye Mai Sabse Pehle Android Boot Loader Ke Bare Me Btata Hu.

What is Android Boot loader?

Android Phone Ka Jab Power On Karte Hai , Tab Usme First Run Karne Wale Program Ko Bootloader Kehte Hai .Dusre Sabdo me .
Boot Loader Ek Aisa Code Hota Hai .Jab Phone Ko On Karte Hai Tab Ye Run Hota . Iska Main Work SyatemFile , Missing File Ko Check Karta Hai . Fir Uske Bad Aapka Phone On Hota Hai .Boot Loader Android Operating System Ko Load Karta Hai .
Yeh Ek Prakar Pakage Hota Hai . Jo Operating System Karnal Ko Boot Karne Ki Information Deta Hai . Computer Ki Tarah Android Phone Me Bhi Serval Partition Hote Hai , Jisme Data Ko Store Kiya Jata Hai . Jaise System File Ke Liye Or App Ke Liye Alag Alag Partition Crate Kiya Jata Hai. In Sabhi Partition Ko Check Karne Ke Liye Boot Loader Ek Security Check Point Hai . Jo Phone Ko Start Hone Se Pehle Sbhi File Ko Check Karta Hai , Agar Koi File Miss Hogi To Operating System Ko Run Nhi Hone Dega . Sbhi Phone Me Boot Loader Alag Alag Hota . Smart Phone Bnane Wali Company Apne Requirements Ke Anusar Boot Loader Ko Design Karti Hai.
         BootLoader Sbhi Phone Me Locked Condition Me Hota Hai.Kyoki Smart Phone Bnane Wali Company Yhi Chahti Hai Ki Uske Dwara Bnayi Gayi Os Ka He Use Kiya Jaye . Kyoki Android Ek Open Source Operating System Hai . Locked Bootloader Ke Sath App Usme Custom Rom Flash Ya Install Nhi Kar Sakte. Agar Forcefully Usme Custom Rom Insall Karenge To Appka Phone as a Brick Ho Jayega. Agar Aapko Custom Rom Install Krna Hai To Sabse Pehle Boot Loader Ko Unlock Krna Hoga .
Maximum Phone Me Boot Loader Normally Unlocked Ho Jata Hai . Lekin Kuch Phone Me Boot Loader Ko Unlock Karne Ke Liye Manufacture Code Ki Jarurat Padti Hai . Agar Aap Apne Phone Ka Boot Loader Unlock Karna Chate Hai To Mai Advice Karunga Ki Google Jarur Kare.
¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥………………………………………………………………………
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

What is Kernal in Android Phone?

Kernal Sabhi Operating System Me Hota . Ex- Android,Linux,Windows,MacOs etc.
Karnal Ka Main Work Hota Hai
Operating System Aur Hardware Ke Bich Ek Connection Provide Karata Hai.
Means  Agar Koi Software Hai Use Hardware ke Work ki Koi Bhi Jarurat Padti Hai To Kernal Us Request Ko Hardware Se Deta Hai. Fir Wo Hardware Us Software Ke Instruction Per Work Karta Hai.

For Example:-
                         Aap Koi Music Sun Rahe Hai To Usme Kon Kon Si Process Hui . Jara Sochiye Aap . Mai He Btata Hu . Sbse Pehle Aap File Per Gaye Honge Jaha Par Sings Hai .Fir Waha Jis Songs Ko Sunna Chahte Hai Usper Tap Kiya Hoga Fir Songs Play huwa Hoga . Ab Dekho Isme Process Kya Hui . Jab Apne Songs Pr Tap Kiya To Songs Ko Play Karne wale Apps Ne Kernal Ko Request Bheji Hogi Kyoki Jo Apps Music Ko Play Kar Raha Hai Use Speacker ki Jarurat Padi Hogi Fir Kernal Ne Us Apps Ko Permission Diya Speaker Ko Use Karne Ki . Fir Songs Play Hota Hai. Ab Sayad Aap Ke Smjh Me Aagya Hoga.
                          
    Aap Apne Phone Ka Kernal Change Karke Apne Phone Ki Profomce Ko Bdha Sakte Hai . Kernal Se Aap Apne Phone Ki Battey Lifi Ko Bhi Bdha Sakte Hai.

#############################
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥¥
Agar Apko Meri Post Achhi Lage To Comment Or Share Jarur Kariye Jisse Hum Apki Help Kar Sake .


No comments:

Post a Comment