Wednesday 7 September 2016

Android Phone me Recovery and Roms kya hoti hai?


Hello Friends . Maine Apni Pichli Post Me Btaya Tha. Ki Boot Loader and Kernal Kya Hote Hai . Aaj Mai Iss Post Me Btaunga Ki Androi Phone Me Recovery and Roms Kya Hoti Hai?
To Chaleye Mai Sbse Pehle Recovery Ke Bare Me Btata Hu.

Android Phone me Recovery kya hoti hai?
        Recovery Android Phone Me Ek Tarah Ka Inbuilt Tool Hota Hai . Jo Sabhi Android Phone Me Hota Hai .
Recovery 2 Tarah Ki Hoti Hai.
°Stock Recovery
°Custom Recovery

Stock Recovery: Stock Recovery Sbhi Android Phone Me Pehle Se Inbuilt Hoti Hai.Jo Mobile Company Dwara Provide Ki Hoti Hai.Stock Recovery Ki Madad Aap Apne Phone Ki Jo Rom Hai Uska Backup Le Sakte Hai .Or Iss Recovery Ki Madad Se Official Stock Rom Install Kar Sakte Hai.Issi Recovery Se Aap Apne Phone Ko Wipe Ya Format Kar Sakte Hai.Yeh Recovery Normally Use Kar Sakte Hai.

Custom Recovery: Custom Recovery Ke Ek Tarah Se Experimental Recovery Hoti Hai . Agar App Apne Phone Custom Recovery Flash Karte Hai . To Custom Recovery Ki Madad Se Aap Un Sbhi Chijo Ko Flash Kar Sakte Hai Jinki Permission Apko Stock Recovery Nhi Deti Hai . Agar Aapko Custom Rom Install Karna Hai To Aap Custom Recovery Ki Madad Se Install Kar Sakte Hai .
Phone Ko Root Karne Ke Liye Ya Apne Phone Ko Advance Bnane Ke Liye Aapko Custom Recovery Ki Jarurat Padegi.
Meri Ek Advice Hai Agar Aap Custom Recovery Apne Phone Par Flash Kar Rahe Hai To Sabse Pehle Aap Apne Phone Ko BootLoader Unlock Kar le.
Ex- Philz Touch,Cwm etc.

Android Phone me Roms kya hoti hai?
                   Computer Ki Language Me Kahe To Rom Ka Pura Name Read Only Memory Hota Hai.Itne Se Apko Ye Pta Chalta Hai . Wo Memory Jisme Aap Data Ko Read Karte Hai.Android Phone Me Rom Ka Matlab Hai . Apke Android Phone Ka Pura System File Hai .Ya Jb Aap Pehli Bar Apne Phone Ko On Karte Hai Tb Jo Bhi App , Game etc Apke Ke Phone Me Show Hota Hai Ye Sab Rom Provide Karati Hai.Or Yahi Android Phone Ke System Software Hote . In Sabhi System Softwre Ko Only Read Kar Sakte Hai . Inme Koi Changes Nhi Kar Sakte Hai.
Rom Ke Bhi 2 Type Hote Hai-
°Stock Rom
°Custom Rom

Stock Rom:  Stock Rom Wah Rom Hoti Hai .Jo Smart Phone Company Dwara Provide Ki Jati Hai. Stock Rom Me Hum Koi Changes Nhi Kar Sakte . Stock Rom Ko Stock Recovery Se Install Kiya Jata Hai. Stock Rom Kam Attractive Hota Hai.
                      
Custom Rom: Custom Rom Wah Rom Hai Jo Google Dwara Provide Kiye Gaye Rom Ko Kisi Smart Phone Company Dwara Modify Kiya Huwa Hota Hai.Ya Developer Dwara Modify Kiya Hota Hai.
Custom Rom Ka Use Karke Aap Apne Phone Ko Advance Bna Sakte Hai. Kbhi Kbhi Custom Rom Me Kuch Coding Me Mistake Hone Se Phone Ke Wifi,Blutooth etc kam Nhi Karte Hai. Ya Aapke Phone Ki Battery Pr Bhi Effect Pad Sakta Hai. Jisse Apke Phone Ka Battery BackUp Kam Ho Sakta Hai. Custom Rom Me Aap Apne Anusar Changes Kar Sakte Hai.
                   

No comments:

Post a Comment